Tuesday, December 11, 2012

lamhe


jin raaston par chale the unhi ne la khada kiya hai chaurahe par
zindagi ke har mod par socha na tha itna
jitna ab sochte hain aaj is chaurahe par

bhool kar sab kuch badh gaye the jin raaston par
yaad aaj aa gaya hai sab kuch


kheech kar laye the hum apne aap ko
waqt ne aaj phir kheech peeche kar diya

soch mein baitha hai man ki kya kiya humne
ye bata paana hai mushkil zindagi ke is chaurahe par


jab bhi hosh mein nahin the tab tab tha koi dost
aaj to hoshwalon ko khabar nahin reh gaye kahan woh dost


main nahin kehta ye puri duniya kehti hai
bada mushkil hai is chaurahe se rasta dhundna

kabhi kabhi lagta hai waqt ka sab khel hai
par us waqt ne hi sikhaya in raaston par chalna

jab nahin sochte the zindagi ki gehraiyyon ko
aaj majboor ho gaye hain dubne ko unhi gehraiyyon mein

lamhon ka ek silsila sa banta gaya
aaj unhi lamhon ko yaad kar rahe hain

aur jab yaad karte hain un lamhon ko
ek aur silsila khud ba khud banta ja raha









chanchal man

ik baat ko lekar baitha hai man
bin soche samjhe gaata ye man

kahan badha ja raha musafir bole ye man
phir aayega laut wapis pal pal bole ye man

door kisi tanhai mein baitha hai ye pagal man
bas madira ki aas mein baitha hai ye pagal man

dhund(fog) mein kho gaya hai  dhoond pana hai mushkil
tap tap karti boondon mein bheeg utha hai ye pagal man

jab jab roke ye man tab tab na ruke ye man
koi samajh na paya ki kisko pal pal dhunde ye man

paristhitiyon ki aag mein jal jal ke jhulas utha ye man
kismat ki thand se kaanp kaanp kar thithur utha ye man

badal ki unchaiyon ko dekh vichlit ho utha ye man
dharti ki gond mein sone ko aatur hai ye man

raat ke sannate ko sunta hai ye man
din ke shor mein dar jaata hai ye man

dekh is duniya ko dukhi ho uthta ye man
phir dekh usi duniya ko khush ho uthta ye man
kaisa hai ye pagal man..
kaisa hai ye pagal man...