jin raaston par chale the unhi ne la khada kiya hai chaurahe par
zindagi ke har mod par socha na tha itna
jitna ab sochte hain aaj is chaurahe par
bhool kar sab kuch badh gaye the jin raaston par
yaad aaj aa gaya hai sab kuch
kheech kar laye the hum apne aap ko
waqt ne aaj phir kheech peeche kar diya
soch mein baitha hai man ki kya kiya humne
ye bata paana hai mushkil zindagi ke is chaurahe par
jab bhi hosh mein nahin the tab tab tha koi dost
aaj to hoshwalon ko khabar nahin reh gaye kahan woh dost
main nahin kehta ye puri duniya kehti hai
bada mushkil hai is chaurahe se rasta dhundna
kabhi kabhi lagta hai waqt ka sab khel hai
par us waqt ne hi sikhaya in raaston par chalna
jab nahin sochte the zindagi ki gehraiyyon ko
aaj majboor ho gaye hain dubne ko unhi gehraiyyon mein
lamhon ka ek silsila sa banta gaya
aaj unhi lamhon ko yaad kar rahe hain
aur jab yaad karte hain un lamhon ko
ek aur silsila khud ba khud banta ja raha
